×

Mirza Ghalib's video: Ghalib - Bazm-e-shahanshah mein ash aar ka daftar khula - Complete Urdu Ghazal

@Ghalib - Bazm-e-shahanshah mein ash’aar ka daftar khula - Complete Urdu Ghazal
بزم شاہنشاہ میں اشعار کا دفتر کھلا رکھیو یا رب یہ در گنجینۂ گوہر کھلا شب ہوئی پھر انجم رخشندہ کا منظر کھلا اس تکلف سے کہ گویا بت کدے کا در کھلا گرچہ ہوں دیوانہ پر کیوں دوست کا کھاؤں فریب آستیں میں دشنہ پنہاں ہاتھ میں نشتر کھلا گو نہ سمجھوں اس کی باتیں گو نہ پاؤں اس کا بھید پر یہ کیا کم ہے کہ مجھ سے وہ پری پیکر کھلا ہے خیال حسن میں حسن عمل کا سا خیال خلد کا اک در ہے میری گور کے اندر کھلا منہ نہ کھلنے پر ہے وہ عالم کہ دیکھا ہی نہیں زلف سے بڑھ کر نقاب اس شوخ کے منہ پر کھلا در پہ رہنے کو کہا اور کہہ کے کیسا پھر گیا جتنے عرصے میں مرا لپٹا ہوا بستر کھلا کیوں اندھیری ہے شب غم ہے بلاؤں کا نزول آج ادھر ہی کو رہے گا دیدۂ اختر کھلا کیا رہوں غربت میں خوش جب ہو حوادث کا یہ حال نامہ لاتا ہے وطن سے نامہ بر اکثر کھلا اس کی امت میں ہوں میں میرے رہیں کیوں کام بند واسطے جس شہہ کے غالبؔ گنبد بے در کھلا Bazm-e-shahanshah mein ash’aar ka daftar khula Rakhiyo ya rab ye dar-e-ganjina-e-gauhar khula Shab hui phir anjum-e-raḳhshanda ka manzar khula Is takalluf se k goya but-kade ka dar khula Garche hoon diwana par kyun dost ka khaoun faraib Aasteen mein dashna pinhan haath mein nashtar khula Go na samjhun us ki baten go na paun us ka bhaid Par ye kya kam hai k mujh se wo paro-paikar khula Hai ḳhayal-e-husn mein husn-e-amal ka sa ḳhayal Khuld ka ik dar hai meri gor ke andar khula Munh na khulne par hai wo aalam k dekha hee nahein Zulf se barh kar niqaab us shaukh ke munh par khula Dar pe rehne ko kaha aur kah ke kaisa phir gaya Jitne arse mein mera lipta huwa bistar khula Kyun andheri hai shab-e-gham hai balaon ka nuzool Aaj udhar hee ko rahega deeda-e-akhtar khula kya rahun ghurbat mein khush jab ho hawaadis ka ye haal Naama laata hai watan se nama-bar aksar khula Us ki ummat mein hoon main meray rahen kyun kaam band Waaste jis shah ke 'Ghalib' gumbad-e-bay-dar khula References: 1. Nawaye Sarosh (mukammal Deewan-e Ghalib ma-sharah - az Ghulam Rasool Mehar --- نوائے سروش مکمل دیوانِ غالب مع شرح ، از غلام رسول مہر 2. Ferozullughaat Urdu (Jaameh) --- فیروزللغات اُردو جامع

8

1
Mirza Ghalib
Subscribers
6.5K
Total Post
31
Total Views
0.9M
Avg. Views
30.1K
View Profile
This video was published on 2020-11-07 20:45:03 GMT by @Mirza-Ghalib on Youtube. Mirza Ghalib has total 6.5K subscribers on Youtube and has a total of 31 video.This video has received 8 Likes which are lower than the average likes that Mirza Ghalib gets . @Mirza-Ghalib receives an average views of 30.1K per video on Youtube.This video has received 1 comments which are lower than the average comments that Mirza Ghalib gets . Overall the views for this video was lower than the average for the profile.Mirza Ghalib #MirzaGhalib #UrduPoetry #UrduShayeri #UrduGhazal #Ghazal بزم has been used frequently in this Post.

Other post by @Mirza Ghalib