×

ADVENTURES OF HAMMAD ASIF's video: Darbar Me Hazir Hai Ek Banda E Awara Ijaz Muhammad Saqib Munajaat Writer is Mufti Taqi Usmani

@Darbar Me Hazir Hai Ek Banda E Awara | Ijaz Muhammad Saqib | Munajaat Writer is Mufti Taqi Usmani
Mr Ijaz Muhammad Saqib is a very learned Science Teacher and is presently serving in Governament Higher Secondary School Number 1 Kohat (GHSS No.1 Kohat). He is one of the most upcoming Naat Khuwaans in Pakistan, specially in Kohat. He is also a fan of famous Singer who converted to Naat Khuwani Shaheed Junaid Jamshed. He dedicates this audio to his elder brother Riaz. Topic: Darbar Me Hazir Hai Ek Banda E Awara Writer: Mufti Taqi Usmani Vocals: Ijaz Muhammad Saqib Category: Munajaat, Hamd, Dua نعت شریف ﷺ نعت شریف نعت حمد .1 ====Lyrics==== Darbar me hazir hai ek banda-e-awara Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara, Sar gashta-o-darmanda, be-himmat-o-nakara Warafta-o-sargardan, be-maya-o-bechara Shaitan ka sitam khurdan is nafs ka dukhiyara Har simt se ghaflat ka ghere hue andhiyara Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara, Darbar me hazir hai ek banda-e-awara Jazbaat ki maujon me lafzon ki zuban gum hai Alam me tahayyur ka yaraan-e-bayan gum hai Mazmoon jo socha tha kya jane kahan gum hai Aankhon me bhi ashqon ka ab naam-o-nishan gum hai seene me sulagta hai rah rah ke ek angara darbar me hazir hai ek banda-e-awara Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara, Darbar me hazir hai ek banda-e-awara Aya hun tere dar par khamosh nawan lekar Neki se nahi daman ambar-e-khata le kar Lekin teri chaukhat se ummeed sakha le kar Amal ki zulmat me taubah ki ziya le kar Seene me talatum hai dil sharm se sadqara darbar me hazir hai ek banda-e-awara Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara, Darbar me hazir hai ek banda-e-awara Ummeed ka markaz ye rahmat se baradar hai Is ghar ka har ek zarrah rashq-e-mah-o-akhtar hai Mahroom nahi koi jis dar se ye wo dar hai Jo iska bhikhari hai qismat ka sikandar hai Ye noor ka qulzam hai ye aman ka fawwara darbar me hazir hai ek banda-e-awara Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara, Darbar me hazir hai ek banda-e-awara Ye kaaba karishma hai ya rab teri qudrat ka Har lamha yahan jaari mizab hai rahmat ka Har aan barasta hai hun teri sakhawat ka Mazhar hai ye bandon se khaliq ki mohabbat ka Is ‘alam-e-pasti me azmat ka ye jobara Darbar me hazir hai ek banda-e-awara Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara, Darbar me hazir hai ek banda-e-awara Ya rab mujhe duniya me jeene ka kareena de Mere dil-e-wiran ko ulfat ka khazeena de Sailab moasi me ta’at ka safeena de Hasti ke andheron ko anwar-e-madina de Phir dahar me phaila de iman ka ujiyara darbar me hazir hai ek banda-e-awara Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara, Darbar me hazir hai ek banda-e-awara Ya rab meri hasti par kuchh khas karam farma Bakhshe hue bando me mujh ko bhi raqam farma Bhatke hue raahi ka rukh soo-e-haram farma Duniya ko ‘ataat se ghulzar-e-iram farma Kar de mere maazi ke har saans ka kaffara darbar me hazir hai ek banda-e-awara Aaj apni khataaon ka laade hue pushtara, Darbar me hazir hai ek banda-e-awara Sar gashta-o-darmanda, baihimmat-o-nakara Warafta-o-sargardan be maya-o-bechara Shaitan ka sitam khurdan is nafs ka dukhiyara Har simt se ghaflat ka ghere huye andhiyara Aaj apni khataon ka lade huye pushtara Darbar me hazir hai ek banda-e-awara Aaj apni khataon ka lade huye pushtara Darbar me hazir hai ek banda-e-awara Ijaz Muhammad Saqib, GHSS No 1 Kohat, Moti Masjid Kohat, ,حمد,نعت Naat, Hamd, Munajaat, Nasheed, Ramzan, No Copyright Nasheed, Darbar Me Hazir Hai Ek Banda e Awara, Darbar Me Hazir Hai, Mufti Taqi Usmani, Islamic Releases darbar me hazir hai,darbar mein hazir hai ek banda awara,darbar me hazir hai ek banda e awara,darbar me hazir hai ek banda awara,darbar me hazir hai ek banda e awara alburhan media,darbar mein hazir hai banda e awara,darbar me hazir hai ek banda e awara alburhan media:islam,darbar main hazir hai ik banda e aawara,darbar main haazir hai ek banda e aawara - youtube, DISCLAIMER: This Channel DOES NOT Promote or encourage Any illegal activities, all contents provided by This Channel is meant for INFORMATIVE PURPOSE. Copyright Disclaimer Under Section 107 of the Copyright Act 1976, allowance is made for "fair use" for purposes such as criticism, comment, news reporting, Market Reporting and vlogging. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing. Non-profit, educational or personal use tips the balance in favour of fair use

193

150
ADVENTURES OF HAMMAD ASIF
Subscribers
10K
Total Post
1.1K
Total Views
318.2K
Avg. Views
1.5K
View Profile
This video was published on 2020-04-18 17:19:30 GMT by @ADVENTURES-OF-HAMMAD-ASIF on Youtube. ADVENTURES OF HAMMAD ASIF has total 10K subscribers on Youtube and has a total of 1.1K video.This video has received 193 Likes which are higher than the average likes that ADVENTURES OF HAMMAD ASIF gets . @ADVENTURES-OF-HAMMAD-ASIF receives an average views of 1.5K per video on Youtube.This video has received 150 comments which are higher than the average comments that ADVENTURES OF HAMMAD ASIF gets . Overall the views for this video was lower than the average for the profile.ADVENTURES OF HAMMAD ASIF #Naat #Hamd #Nasheed #Islamic #naats #islamicnaats #Islamicsongs #IjazMuhammadSaqib #Kohat #GHSS #No.1 #BestNaatKhawan #MotiMasjid #Ramzan #NoCopyrightNasheed #Munajaat #MuftiTaqiUsmani #DarbarMeHazirHai #IslamicReleases ====Lyrics==== Darbar has been used frequently in this Post.

Other post by @ADVENTURES OF HAMMAD ASIF