×

Amto's video: Dushman To Na Tha - Poetry By Amto

@“Dushman To Na Tha” - Poetry By Amto
Written Poetry :- Khair meri jaan, arz hai. Mera ishq, meri yaariyan or meri mohabbatein hi mujh pe qarz hai. Unki ghibat karna to ab meri shayri mai har tareeqe se farz hai. Kyu ke mere yaar ko bhi to piyari mujh se zyada apni chars hai. Usko jatey waqt thi khushi, koi gham to na tha. Pohonchaya tha usko sitaron mai, Yeh sitam to na tha. Mil gaya usko sab kuch leikin, Mai uske sang to na tha. Kash isi baat pe ansu ghira deita, Mai dushman to na tha Mai ne kaha ruk to ja, p Kahin zaroorat na parey meri. Usne muskura ke kaha, “Deikha jayega agli pheiri” Samjh to agayi, jo baat ki usne gehri... Thi to wo baat hi, Lekin le gayi jaan meri. Phir saansein guth gayin, Kiya koi jurm to na tha. Meri nazrein jhuk gayin, Kahi yeh akhri milan to na tha. Meri dharkaney ruk gayin,i ruka koi uska kadam to na tha. Arey eik baar to mur ke deikh leita, Mai dushman to na tha. Mene kaha, milte to ja, Eik hi kashti ke they musafir. Usne nazrein utha ke kaha, Arey jaa o’ kafir. Poocha khuda se mene, Kaise wo keh gaya mujhe yeh akhir? To jawab aya khuda se... “Tuney to badal liya tha mujhe uski khatir” Mil rahi hai usi ki saza, ke yeh ghunah kum to na tha. Ghir gaya uske kadmo mai, Soch leita yeh haram to na tha. Imaan le aya banda-e-khuda per, Lekin kiya usne koi raham to na tha. Arey tha to usi ka ibadatgar, Mai dushman to na tha. Poochoun ke kyu ja rahe ho chor ke to kehta hai ke koi waja nahi. Poori raat sulaya tha apne kandho per kya usko yeh pata nahi. Aj mere roney ke liye uske kandhe pe jaggah nahi. Khair hai meri jaan, Yeh sab hua hai pehle bhi, yeh pehli dafa nahi. Tha uska wohi chehra, wohi jism, Lekin wo man to tha na. Badley they usne apne kafi rang, Lekin mene deikha yeh rang to na tha. Yeh sochte sochte khayal aya mujhe, Ke Yeh sab mera waham to na tha, Khudaya’ mai to uska kuch nahi, Kahi wo mera dushman to na tha. Keh raha tha lota dunga sab, Mera ishq kaise lotayega. Meri mohabbat, shahyri or khat Parhe ke sab ko hasayega. Bole ga unhe, “mar gaya wo pagel, Alhamdulilah, ab mere peeche na ayega” Arey yeh to kuch nahi ahmed, Abhi tu or zakhm khayega. Jaa chuki thi meri rooh mujh se, Howa sar kalam to na tha. maghfirat ki duayein mang rahe they wo, Howa mai dafan to na tha. Suna hai wo lota gaya tha mera sab kuch, Lekin manga mene kafan to na tha. Arey janazey tak to ruk jata wo, Mai dushman to na tha. “Dushman To Na Tha” - A Poetry By Ahmed Hussain Khan. When Yaari, Siyasat, Talent And Ishq Get Combined, This Happens •••. What Is This About? : A summary of my teenage life. Which I started writing in April, 2018. After 8 Months I completed “Dushman To Na Tha”, which is based on my personal experiences in friendship, love and all those fake things, so having an idea of a video by featuring well known people in this town, This project at first was so damn hard that I cancelled in between but few of my friends stood by me no matter how hard it was. This is the best thing I’ve ever created, I guess. Also, EVERY SINGLE WORD OF THE POETRY IS WRITTEN BY ME, NO HELP AND NOT COPIED, COMPLETELY ORIGINAL.

164

2
Amto
Subscribers
36.5K
Total Post
31
Total Views
12.7M
Avg. Views
201.3K
View Profile
This video was published on 2019-01-06 16:31:02 GMT by @Amto on Youtube. Amto has total 36.5K subscribers on Youtube and has a total of 31 video.This video has received 164 Likes which are lower than the average likes that Amto gets . @Amto receives an average views of 201.3K per video on Youtube.This video has received 2 comments which are lower than the average comments that Amto gets . Overall the views for this video was lower than the average for the profile.

Other post by @Amto