×

Being Indian Music's video: Spoken Word Poetry Being Indian Music

@Spoken Word Poetry | Being Indian Music
Click Here to Subscribe To Being Indian Music : http://goo.gl/2hjQj7 Being Indian Music brings you a special poem for a special person. Check out this heart-warming poem written for all the mothers out there & do let us know your views about it. Stay Tuned for more! Poem written by: Sagar Kokitkar Don't Forget to Hit Like,Comment & Share.. Har kisi se pucho Har koi yahi kahega Bhachpan kitna accha tha, Kitna aasan tha Kaash bachpan fir se laut aaye Na Koi fikr na koi pareshani Ek woh din aurAur aaj aise din hai Ki Subah ki shuruat chidchidahat se shuru hoti hai Sab kuch galat sa lagta hai, dil ke khilaaf sa lagta hai Koi jaanta hai humari aisi haalat ka zimmedar kaun hai? Ye woh hai jinke wajah se aaj humari zindagi itni takleefo mein padi hai. Ek aaj ka din hai jab shuru hota hai toh badan ko bistar se cheel kar nikaalna padta hai. Ek woh din tha jo tumhari aawaz se shuru hota tha, Chillati bohot thi tum Lekin tumhare badhte hue ghussey ka countdown chid machane waley Alarm clock se kayi behtar tha. Jeena toh sikha diya tumne lekin tum bin jeena nahi sikhaya… Dekhte hi dekhte mujhe Bas yuhi Bigaad kar rakh diya Ek aaj ka din hai jab naashte mein thande dudh ke saath rang birangi cheezein milakar khata hu Ek woh din tha jab naashta garm hua karta tha aur chalke haatho mein aata tha Dhamkiya bohot deti thi tum Lekin dudh ke poshan par tumhara bhashan Cigarette ki packet wali warning se zyaada darawna lagta tha. Jeena toh sikha diya tumne lekin tum bin jeena nahi sikhaya… Dekhte hi dekhte mujhe Bas yuhi Bigaad kar rakh diya Ek aaj ka din hai jab saarey kapdo ka dher ek hi kursi par rachte jaata hai Ek woh din tha jab rumaal aur socks ke bhi apne apne ghar hua karte they Kapdo ke mamle mein Kanoon bohot kada tha tumhara Lekin collar se daag nikalne ka kaala jaadu jo tum jaanti thi Woh washing machine mein nadiya bahakar bhi nahi jaan paaya. Jeena toh sikha diya tumne lekin tum bin jeena nahi sikhaya… Dekhte hi dekhte mujhe Bas yuhi Bigaad kar rakh diya Ek aaj ka din hai jab safar ki thakaan se Work from Home karta hu aur Ek woh din tha jab Homework tumhari madad se pura karta tha aur Shabhashi main jama karta tha Jeena toh sikha diya tumne lekin tum bin jeena nahi sikhaya… Dekhte hi dekhte mujhe Bas yuhi Bigaad kar rakh diya Ek aaj ka din hai jab raat mein bistar par chur hai…aankhein chat ko taadti hai aur neend aane ka naam nahi Ek woh din tha jab maathey par haath ferti thi tum aur subah tak behoshi chayi rehti thi Der raat ko TV dekhne se kaise mana karti thi tum Lekin weekends par chaadar ki shawl banakar tumharey saath film dekhna Laptop ki roshni mein bewaqt soney se kayi behtar hai Jeena toh sikha diya tumne lekin tum bin jeena nahi sikhaya… Dekhte hi dekhte mujhe Bas yuhi Bigaad kar rakh diya For more awesome Being Indian Music follow us on: ➤ Facebook: https://goo.gl/Fwn3rm ➤ Twitter: https://goo.gl/9CBPHr

429

21
Being Indian Music
Subscribers
420K
Total Post
125
Total Views
13.7M
Avg. Views
88K
View Profile
This video was published on 2016-05-06 15:04:36 GMT by @Being-Indian-Music on Youtube. Being Indian Music has total 420K subscribers on Youtube and has a total of 125 video.This video has received 429 Likes which are lower than the average likes that Being Indian Music gets . @Being-Indian-Music receives an average views of 88K per video on Youtube.This video has received 21 comments which are lower than the average comments that Being Indian Music gets . Overall the views for this video was lower than the average for the profile.

Other post by @Being Indian Music