×

Dr. R. B. Dhawan Guruji's video: Dr R B Dhawan guru ji 919810143516 77

@धन लाभ के उपाय ज्योतिष शास्त्र में | आप का भविष्य | Dr R B Dhawan (guru ji) | +919810143516 | #77
Namastkar Dosto Aaj hum charcha karge : Jotish sastra or upay - Kish parkar se dhan labh ke upay kiye jaye jish se ki dhan labh ki avshakta puri ho sake. Jivan me kabhi kabhi aishe awshar aate h jab hum karye kartey h liken karye karne Ke samye safalta hum se do kadam dur hoti he ki kaam begad jaata hai. To kon se aishe karan hein jin ke karan aisha hota hai ? Hamare apne karmo ke dosh hein jin ke karan se is parkar se Achanak karya bigadne wala kasht hota hai, to is ke liye kuch upay aap ko bataiye ja rahe hein. Saral upay hein, in ko kr ke aisi isthiti se bacha ja sakta hai, Dhan labh paryapt matra mein parpt kiya ja sakta hai, jo upay apko bataye ja rahe hein ye Dhan labh ke liye hein. Agar is taraha ki isithiti paida ho jaye to us se bachne ke liye ya rukawat dur karne ke liye bhi ye upay aap kr sakte hein. Anyatha aishi isthiti nahi hai tab bhi ye upay kiye ja sakte hein, koi bhi is upay ko kr sakta hai avashye in upay se labh hoga, is upay ke liye sarvartha siddhi yog ki jarurat hai. Sarvartha siddhi yog kab hoga, ye ek vishesh muhurat hai. sarvartha siddhi ya fir aap tripuskar yog bhi aap chun sakte hein. Dvi pushkar ya tri pushkar yog b chun sakte hein. Behtar hoga ki sarvartha siddhi yog mein ye upay kiye jaye or agar vishesh kisi parkar k karya mein apko pareshani dekhai de rahi hai, tab is upay se wo pareshani dur kr ke dhan labh hota hai. Priyog karne se pehele mahurat ka jarur dhyan rakhe, Sahad ki ek shishi bhar lijiye, Us mein 11 daane 11 piece gin kr ke safed gunjja saaf hona chahiye us ko saaf kr lijiye. Uspe mitti ya dhul waghara nahi honi chahiye. Gunjja ke 11 daane safed gunjja k ley lijiye or use sahed mein aap un ko daal dijiye, is ko daltey samye aap shri sutra ka paath kare or 11 paath karne hein 11 paat shri sutra k kare or us ke sath hi ye daane aap sahad mein daal dijiye. sambhav ho to khili hui khel ya kamal gatte ke dwara 16 ahutniya bhi dein. 16 ahutiya arthat hawan bhi sath k sath kr ley kam se kam 16 ahutiya di jaani chahiye, Ishi trhan se aap hawan karne ke baad is shishi ko pooja esthal pr band kr ke rakh dey. Pooja esthal pr rakhna chahiye ya fir aap case box mein bhi rakh sakte hein. Case box mein rakhne se aap ke dhan mein ashcharya janak tarike se dhan ki vriddhi hone lagti hai. Safltaye milni lagti hain. Jaisa ki apko maine bataya ki koi aisha karya aap kr rahe hein jish ko antim dor mein do kadam dur hi aap hote hein keval, or wo kaam bigad jaata hai. Aesi isthti nahi ayegi yadi aap ye upay kr ke pehele se hi rakhe to vanshik safaltaye milne lagti hein. Apki jo echayen hein wo kishi na kish rup mein puri hone lag jaati hein. Kabhi kabhi to ascharya janak saflta mil jaati hai, yani itni saflta jish ka apne socha nahi tha is ke liye shri sudh ka paath aap nirantar baad mein bhi aap continue rakhiye, Aap kartey rahiey to is se aap chamtkaari anubhav paryapt karege. Aishe anubhav paryatp Karne ke liye hi hamare acharya ne shri shutra ki rachna ki hai. Shri ka arth hai laxmi ji ke liye shukt laxmi dhan verdhi kyuki her garast ki ye avashkta hoti hai. Her grast ko dhan ki laxmi ki avshkta avashya hoti hai to in avshaktao ki purti ke liye is ka pariyog aap kr sakte hein. Is parkar ke pariyog se apko jiwan mein kabhi dhan ka abhav nahi hoga.

3

0
Dr. R. B. Dhawan Guruji
Subscribers
20.5K
Total Post
319
Total Views
130.4K
Avg. Views
1.6K
View Profile
This video was published on 2018-07-04 17:24:31 GMT by @Dr.-R.-B.-Dhawan-Guruji on Youtube. Dr. R. B. Dhawan Guruji has total 20.5K subscribers on Youtube and has a total of 319 video.This video has received 3 Likes which are lower than the average likes that Dr. R. B. Dhawan Guruji gets . @Dr.-R.-B.-Dhawan-Guruji receives an average views of 1.6K per video on Youtube.This video has received 0 comments which are lower than the average comments that Dr. R. B. Dhawan Guruji gets . Overall the views for this video was lower than the average for the profile.Dr. R. B. Dhawan Guruji #RBDhawan #Astrologer #Shukracharya has been used frequently in this Post.

Other post by @Dr. R. B. Dhawan Guruji