×

FAIZAN A Blessing's video: Aaj Lab Par Hai Naam e Imam e Hasan Likh Raha Hoon Salaam e Imam e Hasan Manqabat Imam Hasan ...

@Aaj Lab Par Hai Naam e Imam e Hasan Likh Raha Hoon Salaam e Imam e Hasan Manqabat Imam Hasan Mujtaba
15 Ramzan Kareem Yaum e Wiladat Nawasa e Rasool Ameerul Momineen Khatimul Khulfah e Rashideen Imam Hasan Mujtaba Alaihis Salaam Imam Aali Maqaam, Imam e Humaam, Imame Arsh Maqaam, Ameerul Momineen, Khatimul Khulfah e Rashideen Hazrat Sayyiduna Imam Hasan Mujtaba (Alaihis Salaam) Ki Wiladat e Ba-Sa’adat 15 Ramazan ul Mubarak 3 Hijri Madinah Munawwarah Mein Hui.   RasoolAllah ﷺ Ne Aapke Ek Kaan Mein Azan Aur Dusre Kaan Mein iqamat Di Aur Aap Ka Naam Hasan Rakha. Aap Ki Kuniyat: Abu Muhammad. Alqaab: Mujtaba,Taqi, Sayyid, Sibt e Rasool aur Sibt e Akbar Hai, Aap Ko Raihan e Rasool Ya’ni RasoolAllah ﷺ Kay Phool Bhi Kahtay Hai. Hazrat Anas Bin Malik (RadiAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke Imam Hasan (Alaihis Salaam) Say Barh Kar Rasool e Kareem (Sallallahu Alaihi Wa Aalaehi Wa Salaam) Say Milta Julta Koi Bhi Shakhs Na Tha. isliye Aapko Shabih e Rasool Bhi Kehtay Hai. Tamam Ummat Ko Nabi Ke Ghar Ki Khushi Imam Hasan Mujtaba Ki Wiladat Mubarak Ho. Imam Hasan o Hussain Se Muhabbat Allah Se Muhabbat Hai. Sahabi e Rasool Hazrat Salman Farsi RadiAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wa Aalaehi Wa Sallam Ko Farmate Huwe Suna : Hasan Aur Hussain Mere Bete Hain Jis Ne Hasan Aur Hussain (Alaihimus Salaam) Se Muhabbat Kee, Us Ne Mujh Se Muhabbat Kee, Aur Jis Ne Mujh Se Muhabbat Kee Us Se Allah ﷻ Ne Muhabbat Kee Aur Jis Se Allah ﷻ Ne Muhabbat Kee Allah ﷻ Ne Usay Jannat Mein Daakhil Kar Diya. Jis Ne Hasan Aur Hussain (Alaihimus Salaam) Se Bughz Rakha Us Ne Mujh Se Bughz Rakha, Aur Jis Ne Mujh Se Bughz Rakha Us Par Allah ﷻ Ka Ghazab Huwa Aur Jis Par Allah ﷻ Ka Ghazab Huwa Allah ﷻ Ne Usay Aag (Jahannum) Mein Daakhil Kar Diya. 📗 Imam Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/181, Raqam-4776. Jannat Aur Dozakh Ka Munazra Sahabi e Rasool Hazrat Anas RadiAllahu Ta’ala Anhu Bayaan Karte Hain Ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wa Aalaehi Wa Sallam Ne irshad Farmaya : Ek Martaba Jannat Ne Dozakh Par Fakhr Kiya Aur Kaha Mein Tum Se Behtar Hu, Dozakh Ne Kaha : Mein Tum Se Behtar Hu. Jannat Ne Dozakh Se Puchha Kis Wajah Se ? Dozakh Ne Kaha : Is Liye Ki Mujh Me Bade-Bade Jaabir Hukmara’n Fir’aun Aur Namrood Hain. Is Par Jannat Khaamosh Ho Gayi, Allah Ta’ala Ne Jannat Kee Taraf Wahiy Kee Aur Farmaya : Tu Aajiz Wa La-Jawaab Na Ho, Mein Tere Do 2 Sutoonon Ko Hasan Aur Hussain Ke Zariye Muzayyan Kar Dunga. Pas Jannat Khushi Aur Suroor Se Aiesi Sharma Gayi Jaise Dulhan Sharmati Hai. 📗 Imam Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/148, Raqam-7120 Nasai , Haythmi Majma us Zawaid ___ Hazrat Uqbah Bin Amir RadiAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wa Aalaehi Wa Sallam Ne irshad Farmaya : Hasan Aur Hussain Arsh Ke Do 2 Sutoon Hain Lekin Woh Latke Huwe Nahin, Aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Aalaehi Wa Sallam Ne Farmaya : Jab Ahle Jannat, Jannat Me Muqim Ho Jaaeinge To Jannat Arz Karegi : Aye Parwardigaar ! Tunay Mujhe Apne Sutoonon Me Se Do 2 Sutoonon Se Muzayyan Karne Ka Waa’da Farmaya Tha. Allah Ta’ala Ne Farmayega : Kya Mein Ne Tujhe Hasan Aur Hussain Kee Maujoodagi Ke Zariye Muzayyan Nahin Kar Diya ? (Yahi To Mere Do 2 Sutoon Hain).’ 📗 imam Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/108, Raqam-337. ___ Hazrat Huzayfah RadiAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wa Aalaehi Wa Sallam Ne irshad Farmaya : Ek Farishta Jo Is Raat Se Pehle Kabhi Zameen Par Na Utara Tha, Us Ne Apne Parwardigaar Se Ijaazat Maangi Ki Mujhe Salam Karne Haazir Ho Aur Mujhe Yeh KhushKhabari De Ki Fatimah Ahle Jannat Kee Tamam Aurton Kee Sardaar Hai Aur Hasan Wa Hussain Jannat Ke Jawaanon Ke Sardaar Hain.” 📗 Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/660, Raqam-3871, Hazrat Imam Hasan Mujtaba (Alaihis Salaam) Kay Pahlu May Bayth Kar Ek Aadmi Ek Baar Allah Say Das Hazaar Dirham Ka Sawaal Kar Raha Tha, Jaise Hi Aap Nay is Haajat Mand Ki Ye Dua Suni To Fauran Apnay Ghar Tashreef Laaye Aur Us Shakhs Kay Liye 10 Hazaar Dirham Bhijwa Diye. 📗 ibn Asakir, Volume 13, Page 245 ______ Jannat Ke Sardar Kaun Hai ? Sahabi e Rasool Hazrat Anas Bin Malik RadiAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wa Aalaehi Wa Sallam Ko Farmate Huwe Suna Ki Hum Hazrat Abdul Muttalib Kee Awlaad Ahle Jannat Kay Sardaar Hain Jin Me Mein, Hamzah, Ali, Ja’far, Hasan, Hussain Aur Mahdi Shaamil Hai. 📗 Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/1368, Raqam-4087 📗 Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/233, Raqam-4940 Subhan Allah

39

5
FAIZAN A Blessing
Subscribers
401K
Total Post
180
Total Views
376.9K
Avg. Views
7.5K
View Profile
This video was published on 2021-04-28 21:30:35 GMT by @FAIZAN-A-Blessing on Youtube. FAIZAN A Blessing has total 401K subscribers on Youtube and has a total of 180 video.This video has received 39 Likes which are lower than the average likes that FAIZAN A Blessing gets . @FAIZAN-A-Blessing receives an average views of 7.5K per video on Youtube.This video has received 5 comments which are lower than the average comments that FAIZAN A Blessing gets . Overall the views for this video was lower than the average for the profile.

Other post by @FAIZAN A Blessing