×

Mirza Ghalib's video: Ghalib - Sataish Gar Hai Zahid Is Qadar - Complete Urdu Ghazal

@Ghalib - Sataish Gar Hai Zahid Is Qadar - Complete Urdu Ghazal
ستائش گر ہے زاہد اس قدر جس باغ رضواں کا وہ اک گلدستہ ہے ہم بے خودوں کے طاق نسیاں کا بیاں کیا کیجیے بیداد کاوش ہائے مژگاں کا کہ ہر اک قطرۂ خوں دانہ ہے تسبیح مرجاں کا نہ آئی سطوت قاتل بھی مانع میرے نالوں کو لیا دانتوں میں جو تنکا ہوا ریشہ نیستاں کا دکھاؤں گا تماشا دی اگر فرصت زمانے نے مرا ہر داغ دل اک تخم ہے سرو چراغاں کا کیا آئینہ خانے کا وہ نقشہ تیرے جلوے نے کرے جو پرتو خورشید عالم شبنمستاں کا مری تعمیر میں مضمر ہے اک صورت خرابی کی ہیولیٰ برق خرمن کا ہے خون گرم دہقاں کا اگا ہے گھر میں ہر سو سبزہ ویرانی تماشا کر مدار اب کھودنے پر گھاس کے ہے میرے درباں کا خموشی میں نہاں خوں گشتہ لاکھوں آرزوئیں ہیں چراغ مردہ ہوں میں بے زباں گور غریباں کا ہنوز اک پرتو نقش خیال یار باقی ہے دل افسردہ گویا حجرہ ہے یوسف کے زنداں کا بغل میں غیر کی آج آپ سوتے ہیں کہیں ورنہ سبب کیا خواب میں آ کر تبسم ہائے پنہاں کا نہیں معلوم کس کس کا لہو پانی ہوا ہوگا قیامت ہے سرشک آلودہ ہونا تیری مژگاں کا نظر میں ہے ہماری جادۂ راہ فنا غالبؔ کہ یہ شیرازہ ہے عالم کے اجزائے پریشاں کا Sataaish-gar hai zaahid is qadar jis bagh-e-rizwan ka Woh ik guldasta hai hum bay-ḳhudon k taaq-e-nisyan ka Bayaan kya kijay bay-daad-e-kaawish-haye-mizhgan ka K har ik qatra-e-ḳhun daana hai tasbih-e-marjan ka Na aayi satwat-e-qaatil bhi maane mere nalon ko Liya danton mein jo tinka hua resha naysitan ka Dikhauuga tamasha di agar fursat zamane nay Mera har daagh-e-dil ik tuḳhm hai sarw-e-charaghan ka Kiya aayina-ḳhane ka woh naqsha tere jalwe nay Kare jo partav-e-ḳhursheed aalam shabnamistan ka Meri ta’meer mein muzmar hai ik surat ḳharabi ki Hayula barq-e-khirman ka hai khun-e-garm dihqan ka Ugaa hai ghar mein har su sabza weerani tamasha kar Madar ab khodne par ghaas kay hai mere darban ka Khamoshi mein nihan ḳhun-gashta lakhon arzuen hain Charagh-e-murda hun main bay-zaban gor-e-ghariban ka Hanooz ik partav-e-naqsh-e-ḳhayal-e-yaar baaqa hai Dil-e-afsurda goya hujra hai yusuf kay zindan ka Baghal mein ghair k aaj aap sote hain kahein warna Sabab kya ḳhaab mein aa kar tabassum-haye-pinhan ka Nahein ma’aloom kis kis ka lahu paani huwa hoga Qayamat hai sarishk-aluda hona teri mizhgan ka Nazar mein hai humari jada-e-rah-e-fana 'Ghalib' K ye shiraza hai aalam kay ajza-e-pareshan ka References: 1. Nawaye Sarosh (mukammal Deewan-e Ghalib ma-sharah - az Ghulam Rasool Mehar 2. Ferozullughaat Urdu (Jaam'eh)

8

0
Mirza Ghalib
Subscribers
6.5K
Total Post
31
Total Views
0.9M
Avg. Views
30K
View Profile
This video was published on 2020-07-31 12:45:02 GMT by @Mirza-Ghalib on Youtube. Mirza Ghalib has total 6.5K subscribers on Youtube and has a total of 31 video.This video has received 8 Likes which are lower than the average likes that Mirza Ghalib gets . @Mirza-Ghalib receives an average views of 30K per video on Youtube.This video has received 0 comments which are lower than the average comments that Mirza Ghalib gets . Overall the views for this video was lower than the average for the profile.

Other post by @Mirza Ghalib