×

Muhammad Anas Khan Jamati's video: Astan Hai Yeh Kis Shah-E-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba Live from Golra Sharif

@Astan Hai Yeh Kis Shah-E-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba Live from Golra Sharif
Astan Hai Yeh Kis Shah-E-Zeeshan Ka Marhaba Marhaba Live from Golra Sharif Manaqbat by Nusrat Fateh Ali Khan written by Peer Naseer ud Din Naseer Gillani(RA) Golra Sharif aastan hai yeh kis shah e zeeshan ka marhaba marhaba allah re kya baargah e ghaus e jali hai gardan ko jhukaye hue ek ek wali hai har gaam pe sajde ki tamanna hai jabeen ko yeh kiska dar e naaz hai yeh kiski gali hai aastan hai yeh kis shah e zeeshan ka marhaba marhaba sajde jahaan karte hain aake farishte malak sar jhukaate hain wali ankhein bichchaate hain ee baargah e hazrat e ghaus saqlain ast na kade qamar e haider o nasle hasnain ast maadarsh hussaini nasab asto pidare oo zaulaade hassan yani karim ul abawain ast jhuki bahr e ibadat jab shah e baghdad ke dar par ajab taukeer e sajda apni paishani pe dekhi hai alb haibat se larzan hai insaan ka marhaba marhaba hai asar bazm pe kiske faizaan ka marhaba marhaba ghar basaane meri chashme veeraan ka marhaba marhaba chaand nikla hassan ke shabistaan ka marhaba marhaba sar ki zeenat amaama hai irfaan ka marhaba marhaba jhukta tann phir muhammad ke ehsaan ka marhaba marhaba rang aankhon mein zahra ke faizaan ka marhaba marhaba roop chehre pe aayat e quran ka marhaba marhaba saj ke baitha hai naushah jeelan ka marhaba marhaba nagar nagar mein karo munaati hai shah e jeelan ki aaj shadi saare waliyon ko mehmaan bulaaya gaya ghaus e aazam ko dulha banaya gaya meera ke ghar hai shaadi aaye wali nabi sab taiba se mustafa bhi tashreef laa rahe hain nazron ko shauk e deed hai mangton mein jashn e eid hai bazm e kono makaan ko aaj sajaaya gaya aaj salle allah sayebaan rehmaton ka lagaaya gaya aaj salle allah ambiya auliya ko bulaaya gaya aaj salle allah ibne zahra ko dulha banaaya gaya aaj salle allah urs hai aaj mehboob e subhaan ka marhaba marhaba aao deewanon muraadein apni apni maang lo jholiyan har sawaali ki bhar jaayengi dar sakhi ka khula hai ata ke liye aasmaan manzilat kiska aiwaan hai wah kya shaan hai aaj khalq e khuda kiski mehmaan hai wah kya shaan hai latakhaf kiska mashhoor farmaan hai wah kya shaan hai bil yakeen wo shahenshah e jeelan hai wah kya shaan hai haq diya jisko qudrat ne elan ka marhaba marhaba har taraf aaj rehmat ki barsaat hai wah kya baat hai aaj khulne pe kufl e muhimmaat hai kya baat hai chaar su jalwa aarai e zaat hai kya baat hai koi bharne pe kashkole haajaat hai kya baat hai aa fakeeron aao jholi ko apni bhar lo yeh waqt hai karam ka sarkaar karam farmaate hain jaagne ko mukaddar hai insaan ka marhaba marhaba gulshan e mustafa ki phaban aur hai yeh chaman aur hai shah e abraar ki anjuman aur hai yeh chaman aur hai koo e guldista e panj tan aur hai yeh chaman aur hai shaan e aale hussain o hassan aur hai yeh chaman aur hai sarmadi rang hai is gulistan ka marhaba marhaba golre ki zameen kitni maskood hai khitta e jood hai peer mehar e ali jismein maujood hai khitta e jood hai ik silsila e noor hai har saans ka rishta imaan mera hub e nabi mehar e ali koi kisi ka koi kisi ka mere peer mehar e ali majnu ko mili laila aur yusuf ko zulaikha aur mujhko peer mehar e ali khayaal apna apna pasand apni apni mere ton hain peer mehar e ali kya haseen e manzar e shaan e mabood hai khitta e jood hai har aya iska hamdosh e mahmood hai khitta e jood hai aaj paaya hai dil jeeso kaaiwaan ka marhaba marhaba shamm e tauheed dil mein jala ke piyo dil lagaakar piyo shah e batha ki khiraat paa ki piyo dil lagaakar piyo shaikh ke aastane pe aakar piyo dil lagaakar piyo ankh mehar e ali se milaakar piyo dil lagaakar piyo khud pilaane pe saaki hai jeelan ka marhaba marhaba hai ajab husn ka bankpan saamne ik chaman saamne ehle takheer hain khaimazan saamne panjtan saamne hai ye rooh e hassan ki phaban saamne ya hassan saamne jalwa farma hai ghaus e zaman saamne zauf e gan saamne dekhiye kya banne chashme hairaan ka marhaba marhaba shah e jeelan ki chaukhat salaamat rahe taa qayamat rahe nakshe paa ka chaman pur qaramat rahe taa qayamat rahe alatein ijtiba zeb e kaamat rahe taa qayamat rahe sar pe waliyon ka taaj e imaamat rahe taa qayamat rahe silsila ghaus e aazam ke faizan ka marhaba marhaba mazhare zaat e rabb e kadeer aap hain dastgeer aap hain kaarwaan e karam ke amir aap hain dastgeer aap hain shah e baghdaad ki aan e peer aap hain dastgeer aap hain dastgeer aa tu kar mehar ali te tere baaj hai kaun allah aasiyan da mehar hai saari ali di shak na reh gaya ik zara karam kita ghaus e aazam saada sardeyan waaliyan iss 'Naseer' e hazeen ke naseer aap hain dastgeer aap hain koi hamsar nahi aap ki shaan ka marhaba marhaba

1.9K

156
Muhammad Anas Khan Jamati
Subscribers
11K
Total Post
7
Total Views
466.8K
Avg. Views
8.2K
View Profile
This video was published on 2017-04-14 07:59:06 GMT by @Shahzad-Ahmed on Youtube. Muhammad Anas Khan Jamati has total 11K subscribers on Youtube and has a total of 7 video.This video has received 1.9K Likes which are higher than the average likes that Muhammad Anas Khan Jamati gets . @Shahzad-Ahmed receives an average views of 8.2K per video on Youtube.This video has received 156 comments which are higher than the average comments that Muhammad Anas Khan Jamati gets . Overall the views for this video was lower than the average for the profile.

Other post by @Shahzad Ahmed