×

Sunny Garewal's video: The Success Story of Mahindra and Mahindra

@The Success Story of Mahindra and Mahindra | हिंदी में
अगर आप Gamer है तो ये वीडियो ज़रूर देखे: https://youtu.be/TDWtVji8G3I Dosto apan sabhi Mahindra company ka naam bachpan se sunte aa rahe hai aur aap logo ne apni zindagi mein kabhi na kabhi Mahindra company ki gadi mein safar zaroor kiya hoga. Aaj Mahindra company sirf gaadiyo ke business mein nahi hai balki usne apne peir baaki fields par bhi aache se jama liye hai aur aaj world ki top companies mein se ek hai. Toh chaliye jaante hai Mahindra company ka safar. 1892 Yeh who saal tha jaha par Ludhiana, Punjab mein janme Jagdish Chandra Mahindra. J.C Mahindra ne apni engineering ke padai Mumbai ke Victoria Jubilee Technical institute se ki jiska naam aaj Veermata Jijabai Technical Institute hai. 1929 1929 mein J.C Mahindra ki Tata Steel company mein job lagi sensior sales manager ki post pe aur waha par unhone 1940 tak kaam kiya. Baad mein unhone Tata company ki job chod di aur WWII ke samay mein India ke pehle Iron and Steel controller ban gaye. 1945 India apni azadi panne ke liye ladh raha tha aur Jagdish ji ko pura vishwas tha ki India apni azadi pa lega. Par unka dhayan sirf India ki azadi par he nahi tha balki azadi ke baad India ke vikas par bhi tha. Unko malum tha ki India ke vikas ke liye steel kitna important hai aur isi ko dekhte hue unhone us he saal apna ghar bech ke apne chote bhai Kailash Chandra Mahindra jo ki Chairman the Coal commission of India ke aur apne friend Malik Gulam Mohammad ke saath mil ke Mahindra and Mohammad company ki sthapana ki ek steel trading company ke roop mein. 1947 1947 mein India ko azadi mili aur partition ke samay company ke ek co-founder Malik Gulam Mohammad Pakistan chale gaye. Baad mein 1948 mein company ka naam Mahindra and Mohammad se badal kar Mahindra and Mahindra kar diya. 1951 mein J.C Mahindra ki heart attack se death ho gayi. Baad mein Company ko Indian automobile industry mein avsar mila aur Willys Jeep license ke ander Jeep ki assembly karne lage aur jald he India ke Jeep manufacturer bhi ban gaye. Uske kuch samay baad company Light commercial vehicles aur tractors bhi banana lag gayi. PRESENT DAY Aaj Mahindra and Mahindra Company ko J.C Mahindra ke pote Anand Mahindra chala rahe hai jinhone apna MBA Harvard Business School se kiya hai. Mahindra ko abh sirf SUV, bus , truck aur tractor niramata ke naam se nahi jana jata balki iske portfolio mein aaj 100 se jayada companies hai jinme kuch ke naam hai Mahindra Electric Mobility Limited, Mahindra Defence, Mahindra Aerospace, Mahindra Two wheelers Limited, Mahindra First Choice, Mahindra Education, SsangYong Motor Company, Mahindra Finance, Club Mahindra, Tech Mahindra, JAWA Moto, BSA Motorcycles, First Cry, Swaraj Tractors aur bhi kai companies. Mahindra ke portfolio mein aaj Land Rover aur Jaguar jaise companies bhi hoti magar TATA company ne zayada bid laga ke un companies ko acquire kar liya tha. Mahindra ke pass apni do racing team bhi hai jinke naam hai Mahindra Formula E Racing Team aur Mahindra Moto3 Racing team. Yeh dono he Team kaafi aacha perform kar rahi hai. Mahindra and Mahindra company ka Headquarter Mumbai ke Mahindra Towers mein hai aur aaj M and M group mein 1 lakh se zayada employees hai 100 countries mein. Aaj ke samay mein Mahindra and Mahindra Company ki networth 11 arab dollars ki hai aur khud Anand Mahindra ki net worth 1.5 arab dollars se zayada ki hai. Mahindra and Mahindra company abh kaafi aage nikal gayi hai aur iska shrey jata hai Anand Mahindra ko, jinke vision aur leadership se company ko safalta mili aur aaj desh ki top companies mein se ek hai. Waise toh Anand Mahindra ko kafi saare awards mile hai aur Asia ke top 25 most powerful people mein se bhi ek hai magar 1996 mein unhone jo NGO ki sthapana ki jiska naam hai Nanhi Kali jisme garib parivar ki ladhkiyo ko free mein padhaya jata hai us se weh kafi prasid hue. Aaj is foundation mein 70,000 se jayda Nanhi Kalis ko padhaya ja raha hai. Ayese kai aur programs mein apana yogdan diya hai Anand Mahindra ji ne aur yeh regular member bhi hai World Economic Forum ke. Yeh kehna galat nahi hoga ki Mahindra ko jo safalta Scorpio aur Bolero ne dilai shayad he koi dusara aur product hoga jisne ayesa kiya hai. Aur aaj bhi kai log Mahindra ko sirf Scorpio aur Bolero ke name se he jaante hai. Toh kaise laga aapko hamara yeh video. Comment section mein zaroor bataye. Milte hai agle video mein.

2.2K

93
Sunny Garewal
Subscribers
152K
Total Post
70
Total Views
20.4M
Avg. Views
407.5K
View Profile
This video was published on 2018-05-12 10:25:16 GMT by @Sunny-Garewal on Youtube. Sunny Garewal has total 152K subscribers on Youtube and has a total of 70 video.This video has received 2.2K Likes which are lower than the average likes that Sunny Garewal gets . @Sunny-Garewal receives an average views of 407.5K per video on Youtube.This video has received 93 comments which are lower than the average comments that Sunny Garewal gets . Overall the views for this video was lower than the average for the profile.

Other post by @Sunny Garewal