×

Sunny Garewal's video: The Journey of Toyota Fortuner

@The Journey of Toyota Fortuner | हिंदी में
(हम यहाँ तक कैसे पहुंचे) Toyota Fortuner bharat ki sabse popular SUV’s mein se ek hai aur ise apne shandar road presence ke liye jana jaata hai. Fortuner ko bharat mein launch hue ek dashak se bhi zayada ka samay ho gaya hai aur aaj iske ek lakh se zayada happy customers hai. Toh chaliye jaante hai Fortuner ka abh tak ka safar. PRELUDE 2005 mein Toyota ne mid-size SUV ki Thailand mein badhti popularity ko dekhte hue Fortuner ko launch kiya. Fortuner ko International Multipurpose Vehicle Platform pe banaya gaya tha. Yeh wahi platform tha jisme Toyota Innova aur Hilux Pickup Trucks bane the. Fortuner ki aachi sales ko dekhte hue ise baad mein Indonesia aur dusri Southeast Asian countries mein launch kiya gaya. FIRST FACELIFT Launch ke teen saal baad 2008 mein Toyota ne Fortuner ko pehli baar facelift kiya. Facelift mein Fortuner ko thoda redesign karke ise Toyota Land Cruiser ka look diya gaya aur yeh pehli baar tha jab Fortuner mein All Wheel Drive variant ko introduce kiya. Facelift Fortuner mein naye interiors aur exteriors ke saath he naye features bhi add kiye gaye jaise ki Bluetooth Connectivity, Electronically Adjustable Driver Seat, Electronic Brake distribution, Brake Assist aur Ceiling AC second aur third row ke liye. INDIA LAUNCH Ek saal baad 2009 mein finally Fortuner ko India mein launch kiya gaya. Fortuner ko CKD kits dwara import kiya jaha uski assembly Karnataka ke Toyota Kirloskar Plant mein ki gayi. Launch ke baad Fortuner ki market mein inti demand badh gayi thi ki Toyota ko Fortuner ka production 500 units per month se badha kar 1000 units per month karna padha. Kuch he dino ke ander Fortuner apne segment ki sabse zayada bikne waali SUV ban gayi aur jald he segment leader ka khitab bhi jeet liya. Launch ke samay Fortuner ko 3 liter all-wheel drive diesel engine ke saath market mein utara tha. Yeh engine apne segment mein sabse powerful engine tha jiski power 171PS aur torque 353Nm ki thi. SECOND FACELIFT 2011 mein dusri baar Fortuner ko facelift kiya gaya. Is naye version mein Fortuner ko elegant look dene ke liye Toyota ne Fortuner ki length ko increase kiya aur saath he overall height ko bhi decrease kiya. Nayi facelift Fortuner mein kai cosmetic changes bhi kiye gaye jaise ki naye fenders, naye headlamps, naye fog lamps aur saath he naye polished interiors. Iske ek saal baad 2012 mein Toyota ne pehli baar Fortuner ko automatic version mein launch kiya.  SECOND GENERATION 16 July, 2015 ko Second Generation Fortuner launch hui Thailand aur Australian market mein. Nayi Fortuner ko Toyota Australia ne design kiya tha aur project ko Chief Engineer Hiroki Nakajima ne lead kiya. Is nayi Fortuner ko Toyota ke New Global Architecture Platform pe banaya gaya hai aur new age design language use ki gayi hai jiska istemaal Eleventh Generation Toyota Corolla mein bhi kiya gaya hai. India mein Second Generation Fortuner 7 November, 2016 ko launch hui. Toyota ne nayi Fortuner ke saath he 2 naye engine options ko bhi launch kiya. Yeh dono he engines nayi GD Family of Engines ko belong karte hai aur best in class power aur torque generate karte hai. Second Generation Fortuner kai nayi technologies ke saath aati hai jaise ki LED DRLs, Drive Modes, Paddle Shifters, All Around Sensors, Cooled Glove Box aur Follow Me Home Funcion. 21 September 2017 ko Fortuner ka TRD Sportivo version launch hua. Yeh Fortuner ka limited edition version tha jise Toyota Racing Development ki team ne banaya tha. Fortuner apne segment ki sabse safest SUV’s mein se ek hai aur 10 se zayada safety features ke saath aati hai jisme shamil hai 7 Airbags, EBD, Active Traction Control, Downhill Assist Control, Hill Assist Control, Vehicle Stability Control, Emergency Brake Signal, Speed Auto lock aur ISOFIX Child Mount Seat. Fortuner ki assembly India ke alawa Paskitan, Indonesia, Thailand aur Malaysia mein hoti hai. PRESENT DAY Pichle kuch saalo se Toyota ke liye Fortuner ek bahot he successful model sabit hui hai. Toyota har mahine 2,000 se zayada Fortuner ko sell karti hai jo batati hai Fortuner ka logo ke upar trust. Fortuner ko log sirf ek off-roader ke liye he nahi kharidte balki iski reliability aur tank like build quality ke liye bhi kharidte hai. Shayad inhi sab ke karan yeh hardcore SUV lovers ki pehli pasand hai. Toh kaisa laga aapko humara yeh video, comment section mein zaroor bataye. Milte hai agle video mein. _TV

1.2K

37
Sunny Garewal
Subscribers
152K
Total Post
70
Total Views
20.4M
Avg. Views
407.5K
View Profile
This video was published on 2019-03-16 10:58:18 GMT by @Sunny-Garewal on Youtube. Sunny Garewal has total 152K subscribers on Youtube and has a total of 70 video.This video has received 1.2K Likes which are lower than the average likes that Sunny Garewal gets . @Sunny-Garewal receives an average views of 407.5K per video on Youtube.This video has received 37 comments which are lower than the average comments that Sunny Garewal gets . Overall the views for this video was lower than the average for the profile.Sunny Garewal #SG_TV has been used frequently in this Post.

Other post by @Sunny Garewal