×

Techboomers in Hindi's video: Netflix Free mein Kaise Chalaye 2019 ll How to Sign Up for a Netflix Free Trial 2019

@Netflix Free mein Kaise Chalaye 2019 ll How to Sign Up for a Netflix Free Trial 2019
Netflix mein aaj ke sabse latest Hindi picturey aur serials release ho rahein. Inhe aap free mein dekhna chahte hain? TechBoomers ki aur se mein hu Shruti aur aaj ke video mein hum dekhenge Netflix free mein kaise use karein? Shuru karne ke liye, Apne computer ya laptop me chrome browser open karein aur phir Netflix.com visit karein . Phir Try 30 days free par click karein.Netflix ke plans screen par dekhne ke liye – see the plans par click karein. Ab aapko plans ke baarein mein ar jaankaari milegi. Apne pasandida plan par click karein aur phir continue dabaaye. Agle page par phir se continue dabaaye aur phir apna email address aur password enter karein. Netflix se agar aap offers ya emails nahi paana chahtein ho to neeche dikhaye gaye check box par click karein aur continue dabaye. Agle step par koi ek payment chunna hoga – Netflix mein filhaal payment ke teen options available hao joh hai - credit card/debit card ya gift card details dena hoga. Aap beefikar rahiyega agle ek mahine tak netflix aapko charge nahi karega. Maine khude yeh free account use kiya hai. Bas ek mahine ke pehele, Netflix mein login karke account cancel karle. Agar shows dekhne me maza aaraha hai toh phir continue karein. Payment method select karne ke baad, Start Membership par click karein. Agle page par apna phone number enter karein. Kisi din agar aap apna password bhul gaye, toh phone number ke dwaara Netflix login karne mein aasani hogi. Aakhir mein continue click karein. Iske baad un devices par click karein jisme aap Netflix dekhna chahte hain aur phir continue pe click karein. Chaliye abhi profiles banaate hain. Agar aap yeh account doston ya parivaar waalo ke saath share kar rahein ho, toh phir sab ka alag profiles banaake aap watch history ya recommendations customise kar sakte hain. Inme se koi Profiles bacche use karne waalein hai toh ‘kids’ par tick karein. Aakhir mein continue click karein. Agle step par pasandida tv shows ya picture select karein. Isse Netlfix aapko aanewaley sekections ke liye behetar sujhaav depayega. Aakhir mein continue click karein. Bas! Ab agle 30 dino ke liye aaramse Netflix par apne favourite shows dekhe! Agar aapko Netflix use karna accha aga to dekhte rahein ya phir ek mahine ke pehele cancel karelin.

7

0
Techboomers in Hindi
Subscribers
657
Total Post
29
Total Views
8.5K
Avg. Views
291.8
View Profile
This video was published on 2019-08-27 17:00:00 GMT by @Techboomers-in-Hindi on Youtube. Techboomers in Hindi has total 657 subscribers on Youtube and has a total of 29 video.This video has received 7 Likes which are higher than the average likes that Techboomers in Hindi gets . @Techboomers-in-Hindi receives an average views of 291.8 per video on Youtube.This video has received 0 comments which are lower than the average comments that Techboomers in Hindi gets . Overall the views for this video was lower than the average for the profile.Techboomers in Hindi #Netflix #NetflixIndia has been used frequently in this Post.

Other post by @Techboomers in Hindi