×

Unlocking Something's video: MyJio App Se Jio Sim Card Number Recharge Kaise Kare My Jio App Se 50 Benifits

@MyJio App Se Jio Sim Card/Number Recharge Kaise Kare | My Jio App Se ₹50 Benifits
Jio sim card recharge kaise kare my jio app ke through. my jio app se recharge karna hai my jio app se recharge kaise kare other number my jio app se other number par recharge kaise kare my jio app se other jio number pe recharge kaise kare Step - 1 sabse pahle agar aapke mobile me my jio app ka application nahi hai to use google play store se download kar install Karle. Step - 2 Ab my jio app open kare. app aapse kuch permission mangega unhe allow karde jaise:- call,sms,photos,media etc. Ab aap apne jio number se my jio app par sign in ho jayenge. jo yaha aapka number bhi dikhai dega. Step - 3 My jio app par recharge karne ke liye 3,4 options milenge jispar click karke aap recharge section me jaa sakte hai. jo options hai wo is prakar se hai. Jaise yaha home page par sabse upar me hi recharge now ka notification hota hai. jo aapke pack khatam hone ke baad yaha show karta hai. to aap is par bhi click kar sakte hai. Iske alawa app me thoda niche ki oor jayenge to center me bhi recharge now ka option hoga. aap chahe to yaha par bhi click kar sakte hai. Iske alawa thik uske niche my recharge wale section me rupaye ka logo bana hoga aur recharge likha hoga. yaha se bhi recharge section me ja sakte hai. In tino ke alawa recharge karne ke liye ek aur button jo app ke sabse niche me home button ke side me rahta hai. to aap is par bhi click kar sakte hai. my jio app recharge wallete app Yaha par maine aapko 4 options diye hai jo myjio app par alag-alag par hote hai. aap in 4options me se kisi bhi ek option par click karke recharge area me enter ho sakte. in 4 button ka karya ek hi hota hai. Step - 4 Next me aapko jio ke sabhi tarah ke plan ki list dikhai degi. aap kitne price ka recharge karna chahte hai. us par click kare. yaha par mai rs399 ka recharge kar raha jisme 126GB data plus unlimited call aur per day 100 sms mil raha hai. jo 84 days ke liye valid hoga. ab niche se Buy button par click kare. Step - 5 Ab yaha se aapko koi bhi ek payment method par click karna hai jo aapke paas available ho. Jaise :- UPI Jio Money Paytm Phone Pe Other payment option Credit card Debit card Net banking jio wallet and recharge application Yaha se mai aapko debit card(ATM card) se payment kar recharge karne ka tarika bata raha hu. to yaha par hamko other payment option se debit card par click karna hoga. Step - 6 Ab yaha par aapko debit card yani apne ATM card ki kuch details bharni hai. Jo is type se hai. 1.Card Number - Isme apne debit card(atm) ke upar 16 anko ka number hoga use yaha daale. 2.Expiration Date - Is option me atm card ki samapti tithi bharni hai. jo card ke upar hi hota hai. month aur year enter kare. 3.Cvv/CVC - is option me ATM card ke piche 3 anko ka Cvv number hoga. use is Cvv wale box me bhare. 4.Card Holder Name - yaha par jiske naam se ATM card hai uska name enter kare. 5.Click Make Payment - sabhi jankari ek baar check karle. sabhi details sahi hai. to make payment par click kare. Step - 7 Ab aapke bank se jo registered mobile number hoga uspar 6digit ka OTP code aayega use yaha enter kar submit par click kare. Ab OTP code enter karne ke baad aapke bank account se jitne ka aap recharge kar rahe hai utna amount cut jayega. aur aapka jio number recharge ho jayega. to dosto yah tarika bahut hi aasan hai. jo aap is process ko follow kar jio ka bill pay kar sakte hai. My jio app ka use karne aur isse recharge karne ke fayde. Agar aap jio customer hai aur abhi tak aapne myjio app use nahi kiye hai. ya kabhi-kabhi upyog karke hata dete hai. to iska matlab jio ke taraf se milne wala benifit's/offers ka fayada aap nahi utha paate hai. iske alawa aapke jio number se judi kuch important information bhi is app par milti hai. jo ham aapko yaha par bata rahe hai. My jio app par aap apne jio sim card ka number dekh sakte hain. Aapke jio sim card prepaid hai ya postpaid hai Yah Bhi dekh sakte hain. Aap kaun se plan use kar rahe hain aur wah plan kab khatam hoga ye bhi check kar sakte hain. Aap ko Milne wala per day net data aur sms ka Kitna use Kiye Hai Yeh bhi aap my jio app par dekh sakte hain. My jio app par Apne number ka recharge karne ke saath. Doosre ka jio number bhi recharge kar sakte hain. Jab aap big amount ka recharge karte hain toh aapko 5 GB ya usse Adhik ka extra data Milta Hai. Jise aap my vouchers par jakar redeem Karke uska Faida Utha sakte hain. Jio App se recharge karne par 50 rupaye ka voucher Milta Hai. Jab aap Agli Baar apna number recharge karte hain. toh aapko 50 rupay ka discount Milta hai. yaani aap 400 ka recharge Karenge To aapko 350 hi pay karne Honge. Jio Apne plan me aaye din changes Karta rehta hai. jiski jankari aapko Yahan Se Mil Jayegi. Jio Apne recharge plan ke Alawa mobile, wi-fi device Jaise anya chijo par bhi offer, discount Karati hai. jo aap my jio app ke home page par "get the most from jio" wale section par dekh sakte hain. My vouchers ke Alawa my coupons par bhi aapko kabhi-kabhi offers milti hai. Jiska fayda aap utha sakte hain.

1.7K

142
Unlocking Something
Subscribers
220K
Total Post
72
Total Views
64.3M
Avg. Views
317K
View Profile
This video was published on 2018-10-27 23:17:12 GMT by @Unlocking-Something on Youtube. Unlocking Something has total 220K subscribers on Youtube and has a total of 72 video.This video has received 1.7K Likes which are lower than the average likes that Unlocking Something gets . @Unlocking-Something receives an average views of 317K per video on Youtube.This video has received 142 comments which are lower than the average comments that Unlocking Something gets . Overall the views for this video was lower than the average for the profile.

Other post by @Unlocking Something